ret aur dard
muddateñ guzrīñ mire dil ko hue vīrāna
āñdhiyāñ bhī nahīñ ātīñ
ki uḌe ret miTe naqsh-e-sarāb
aur ik dard kā chashma
mundamil zaḳhmoñ se phūTe na.ī ḳhunkī le kar
pyaas jaag uTThe sukūt-e-dil-e-muztar TuuTe
taaki maiñ dekh sakūñ
apnī be-ḳhvāb sī āñkhoñ se vo manzar ik din
ret ke tode fazāoñ meñ uḌe jaate haiñ
aur ḳhush ho ke kahūñ
zindagī ret sahī dard kā chashma bhī to hai
muddaten guzrin mere dil ko hue virana
aandhiyan bhi nahin aatin
ki uDe ret miTe naqsh-e-sarab
aur ek dard ka chashma
mundamil zaKHmon se phuTe nai KHunki le kar
pyas jag uTThe sukut-e-dil-e-muztar TuTe
taki main dekh sakun
apni be-KHwab si aankhon se wo manzar ek din
ret ke tode fazaon mein uDe jate hain
aur KHush ho ke kahun
zindagi ret sahi dard ka chashma bhi to hai
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 185)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.