ret sahra nahin
ret sahrā nahīñ, ret dariyā nahīñ
ret bas ret hai
maiñ faqat maiñ huuñ aur merī tasvīr par jo hai mazkūr
pahchān merī nahīñ
mujh meñ kitnā azal
mujh meñ kitnā abad, kitnī tārīḳh hai
maiñ nahīñ jāntā
aise din raat ko dil nahīñ māntā, por par jin kī gintī Thahartī nahīñ
aaj bas aaj hai
kal sahar tak yahī aaj tārāj hai
ret sahra nahin, ret dariya nahin
ret bas ret hai
main faqat main hun aur meri taswir par jo hai mazkur
pahchan meri nahin
mujh mein kitna azal
mujh mein kitna abad, kitni tariKH hai
main nahin jaanta
aise din raat ko dil nahin manta, por par jin ki ginti Thaharti nahin
aaj bas aaj hai
kal sahar tak yahi aaj taraj hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.