rihai
sunā hai ki būḌhī havelī meñ har shab
bhaTaktī hai ik ruuh jis ke badan par
purānī rivāyāt ke
khokhle-pan kā malbūs hai
jis kī peshānī ke zaḳhm se
ḳhuun bahtā hai maazī kī tahzīb kā
aur vo chīḳhtī hai
ki būḌhī havelī se us ko nikālo
purānī rivāyāt ke khokhle-pan ke malbūs ko phaaḌ Daalo
suno shahr vaalo
suna hai ki buDhi haweli mein har shab
bhaTakti hai ek ruh jis ke badan par
purani riwayat ke
khokhle-pan ka malbus hai
jis ki peshani ke zaKHm se
KHun bahta hai mazi ki tahzib ka
aur wo chiKHti hai
ki buDhi haweli se us ko nikalo
purani riwayat ke khokhle-pan ke malbus ko phaD Dalo
suno shahr walo
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.