rikshe wale
rikshe vaale rikshe vaale
dhuup meñ sab ke chehre kaale
kaisī garmī kaisī dhuup
sab ne badlā apnā ruup
thoḌī der Thahar kar chalnā
ThanDā paanī muñh par malnā
sar par apne kapḌā rakhnā
rakhshā le kar aage baḌhnā
garmī se behāl hue haiñ
sūkhe saare taal hue haiñ
peT kā īñdhan yuuñ na bharnā
aise vaise kaam na karnā
naam ḳhudā kā har dam lenā
us kī qudrat rozī denā
rikshe vaale rikshe vaale
dhuup meñ sab ke chehre kaale
rikshe wale rikshe wale
dhup mein sab ke chehre kale
kaisi garmi kaisi dhup
sab ne badla apna rup
thoDi der Thahar kar chalna
ThanDa pani munh par malna
sar par apne kapDa rakhna
rakhsha le kar aage baDhna
garmi se behaal hue hain
sukhe sare tal hue hain
peT ka indhan yun na bharna
aise waise kaam na karna
nam KHuda ka har dam lena
us ki qudrat rozi dena
rikshe wale rikshe wale
dhup mein sab ke chehre kale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.