rishta
alaav jalne do
mat bujhāo
chaTaḳhne do rābtoñ ke shīshe
lapakne do harf kī zabāneñ
bhaḌakne do aag nafratoñ kī
diloñ kī lakḌī jalā.e jaao
abhī ta.alluq ke sard bistar ko barf kī sil nahīñ banāo
agar adāvat badan ko taape to harj kyā hai
abhī ka.ī manzileñ paḌī haiñ
abhī ka.ī kos duur hai sub.h kā paḌāv
abhī dahakne do hasratoñ ko
alaav jalne do
mat bujhāo
alaw jalne do
mat bujhao
chaTaKHne do rabton ke shishe
lapakne do harf ki zabanen
bhaDakne do aag nafraton ki
dilon ki lakDi jalae jao
abhi talluq ke sard bistar ko barf ki sil nahin banao
agar adawat badan ko tape to harj kya hai
abhi kai manzilen paDi hain
abhi kai kos dur hai subh ka paDaw
abhi dahakne do hasraton ko
alaw jalne do
mat bujhao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.