rishte
sūkhe pattoñ kī tarah TuuT ke gir jaate haiñ rishte bhī agar in ko mohabbat kī tar-o-tāza havā paanī jo ehsās kī miTTī meñ farāham na kareñ
haañ magar
bhūle se jab TuuT ke gir jaa.eñ kabhī kuchh rishte
to phir achchhā hai ke un ristho ko yakjā kar ke
vaqt ke jalte sulagte hue chūlhe ke havāle kar deñ
sukhe patton ki tarah TuT ke gir jate hain rishte bhi agar in ko mohabbat ki tar-o-taza hawa pani jo ehsas ki miTTi mein faraham na karen
han magar
bhule se jab TuT ke gir jaen kabhi kuchh rishte
to phir achchha hai ke un ristho ko yakja kar ke
waqt ke jalte sulagte hue chulhe ke hawale kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.