riwayat na TuTe
ham rivāyāt kī kohna sadiyoñ ke parbat tale
vo ghane sabz jañgal haiñ jo
be-panāh shāḳh-dar-shāḳh tābindagī
tāzgī ke tamavvuj se sañvlā ke
ḳhud hī jhulas jaa.eñ
aise jaleñ aise jaleñ
ki faqat duur tak ko.elā ko.elā hī dikhā.ī de
aur tāzgī kī numū
ḳhaak se bhī gavāhī na de
vo muqaddar ke achchhe
ki jin ko jalāpe kī muddat guzarne pe
un ko.eloñ kī jagah hiire motī mile
vo muqaddar ke achchhe
ki jin kī duā.eñ zamīñ kī tahoñ meñ vahīñ
to kahīñ sonā chāñdī baneñ
vo muqaddar ke achchhe
ki jin ke badan kholte ḳhuuñ ke chashme the
ab bhī haiñ
paare kī kānoñ kī sūrat kahīñ
to kahīñ aise bhī saḳht jānoñ ke haiñ silsile jā-ba-jā
jin se faulād kā naam pā.inda hai
vo jalan jo kabhī tāzgī ke tamavvuj se paidā huī
hai muqaddar kī tahrīr aisī ki jis kī jalan ibtidā
intihā bhī jalan
jalte rahne kā ye sāneha bhī jalan
anjuman anjuman
chaudhvīñ-rāt ke chāñd ne bhī kahā
bhīgī barsāt ke ra.ad ne bhī kahā
tum vahī ho ki jin ko chaTaḳhne kī mohlat bhī miltī nahīñ
ab rivāyat yahī hai
nibhāo hañso
muskurāo jalo
har ik zard chehra gulābī karo
har ik aañkh ko arġhavānī karo
magar yaad rakkho
rivāyat na TuuTe
tamavvuj kī har tāzgī laakh jhulse
rivāyat na TuuTe
hum riwayat ki kohna sadiyon ke parbat tale
wo ghane sabz jangal hain jo
be-panah shaKH-dar-shaKH tabindagi
tazgi ke tamawwuj se sanwla ke
KHud hi jhulas jaen
aise jalen aise jalen
ki faqat dur tak koela koela hi dikhai de
aur tazgi ki numu
KHak se bhi gawahi na de
wo muqaddar ke achchhe
ki jin ko jalape ki muddat guzarne pe
un koelon ki jagah hire moti mile
wo muqaddar ke achchhe
ki jin ki duaen zamin ki tahon mein wahin
to kahin sona chandi banen
wo muqaddar ke achchhe
ki jin ke badan kholte KHun ke chashme the
ab bhi hain
pare ki kanon ki surat kahin
to kahin aise bhi saKHt jaanon ke hain silsile ja-ba-ja
jin se faulad ka nam painda hai
wo jalan jo kabhi tazgi ke tamawwuj se paida hui
hai muqaddar ki tahrir aisi ki jis ki jalan ibtida
intiha bhi jalan
jalte rahne ka ye saneha bhi jalan
anjuman anjuman
chaudhwin-raat ke chand ne bhi kaha
bhigi barsat ke rad ne bhi kaha
tum wahi ho ki jin ko chaTaKHne ki mohlat bhi milti nahin
ab riwayat yahi hai
nibhao hanso
muskurao jalo
har ek zard chehra gulabi karo
har ek aankh ko arghawani karo
magar yaad rakkho
riwayat na TuTe
tamawwuj ki har tazgi lakh jhulse
riwayat na TuTe
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 392)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.