roe bhagat kabir
pūchh na kyā lahore meñ dekhā ham ne miyāñ-'nazīr'
pahneñ suiT añgrezī boleñ aur kahlā.eñ 'mīr'
chaudhariyoñ kī muTThī meñ hai shā.ir kī taqdīr
ro.e bhagat kabīr
ik-dūje ko jāhil samjheñ naT-khaT buddhīvān
metro meñ jo chaa.e pilā.e bas vo baap samān
sab se achchhā shā.ir vo hai jis kā yaar mudīr
ro.e bhagat kabīr
saḌkoñ par bhūke phirte haiñ shā.ir mausīqār
actorsoñ ke baap liye phirte haiñ motor-kār
film-nagar tak aa pahuñche haiñ sayyad piir faqīr
ro.e bhagat kabīr
lāl-dīn kī koThī dekhī rañg bhī jis kā laal
shahr meñ rah kar ḳhuub uḌaa.e dahqānoñ kā maal
aur kahe ajdād ne baḳhshī mujh ko ye jāgīr
ro.e bhagat kabīr
jis ko dekho leader hai aur se milo vakīl
kisī tarah bhartā hī nahīñ hai peT hai un kā jhiil
majbūran sunñā paḌtī hai un sab kī taqdīr
ro.e bhagat kabīr
mahfil se jo uTh kar jaa.e kahlā.e vo bor
apnī masjid kī tārīfeñ baaqī jūte-chor
apnā jhang bhalā hai pyāre jahāñ hamārī hiir
ro.e bhagat kabīr
puchh na kya lahore mein dekha hum ne miyan-'nazir'
pahnen suiT angrezi bolen aur kahlaen 'mir'
chaudhariyon ki muTThi mein hai shair ki taqdir
roe bhagat kabir
ik-duje ko jahil samjhen naT-khaT buddhiwan
metro mein jo chae pilae bas wo bap saman
sab se achchha shair wo hai jis ka yar mudir
roe bhagat kabir
saDkon par bhuke phirte hain shair mausiqar
actorson ke bap liye phirte hain motor-kar
film-nagar tak aa pahunche hain sayyad pir faqir
roe bhagat kabir
lal-din ki koThi dekhi rang bhi jis ka lal
shahr mein rah kar KHub uDae dahqanon ka mal
aur kahe ajdad ne baKHshi mujh ko ye jagir
roe bhagat kabir
jis ko dekho leader hai aur se milo wakil
kisi tarah bharta hi nahin hai peT hai un ka jhil
majburan sunna paDti hai un sab ki taqdir
roe bhagat kabir
mahfil se jo uTh kar jae kahlae wo bor
apni masjid ki tarifen baqi jute-chor
apna jhang bhala hai pyare jahan hamari hir
roe bhagat kabir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.