rog
mujhe ma.alūm hai
mujh se
mere is rog se
mere
sabhī apne pareshāñ haiñ
merī
tīmār-dārī se
merī biivī
mere bachche
bahut tañg aa chuke haiñ ab
ye bilkul
saaf likkhā hai
sabhī chehroñ pe ke
vo ab
bahut
be-rabt haiñ mujh se
magar ye farz-e-āḳhir hai
nibhānā hai
zamāna hai
dikhānā hai
sabhī tayyāriyāñ
lag-bhag
mukammal ho chukī hoñgī
davāoñ ke sabhī
ḳharche ke
mere final bil par
bhī discuss
ho chukī hogī
baḌe beTe ne
chhoTe ko
kafan kī zimmedārī
sauñp dī hogī
kahāñ se
kaise laanā hai
vo ḳhud
masrūf hogā
baad marne ke
mere
jo kaam hone haiñ
unheñ anjām dene meñ
jagah bhī qabr kī
lag-bhag
muqarrar
ho ga.ī hogī
faqat
ab muntazir haiñ sab
ki
kis lamha
qazā aa.e
kaTe zanjīr
jis se
maiñ ne
sab ko bāñdh rakkhā hai
mujhe malum hai
mujh se
mere is rog se
mere
sabhi apne pareshan hain
meri
timar-dari se
meri biwi
mere bachche
bahut tang aa chuke hain ab
ye bilkul
saf likkha hai
sabhi chehron pe ke
wo ab
bahut
be-rabt hain mujh se
magar ye farz-e-aKHir hai
nibhana hai
zamana hai
dikhana hai
sabhi tayyariyan
lag-bhag
mukammal ho chuki hongi
dawaon ke sabhi
KHarche ke
mere final bil par
bhi discuss
ho chuki hogi
baDe beTe ne
chhoTe ko
kafan ki zimmedari
saunp di hogi
kahan se
kaise lana hai
wo KHud
masruf hoga
baad marne ke
mere
jo kaam hone hain
unhen anjam dene mein
jagah bhi qabr ki
lag-bhag
muqarrar
ho gai hogi
faqat
ab muntazir hain sab
ki
kis lamha
qaza aae
kaTe zanjir
jis se
main ne
sab ko bandh rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.