roza rakha to jaana
darvāza ghar kā khaḌkā
bāhar khaḌā thā laḌkā
kahtā thā maiñ huuñ bhūkā
mujh ko khilāo khānā
hotī hai bhuuk kyā shai
roza rakhā to jaanā
mazdūr ek aayā
garmī kā thā satāyā
bolā huuñ saḳht pyāsā
paanī zarā pilānā
hotī hai pyaas kyā shai
roza rakhā to jaanā
sharbat pakauḌe chhole
phal chaaT aur samose
kyā kyā khilāyā rab ne
us ko na bhuul jaanā
ne.amat hai us kī har shai
roza rakhā to jaanā
darwaza ghar ka khaDka
bahar khaDa tha laDka
kahta tha main hun bhuka
mujh ko khilao khana
hoti hai bhuk kya shai
roza rakha to jaana
mazdur ek aaya
garmi ka tha sataya
bola hun saKHt pyasa
pani zara pilana
hoti hai pyas kya shai
roza rakha to jaana
sharbat pakauDe chhole
phal chaT aur samose
kya kya khilaya rab ne
us ko na bhul jaana
neamat hai us ki har shai
roza rakha to jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.