ruKH-ba-ruKH
surḳh manDī
harā tel
piilī khanak
tiin safhoñ kā aḳhbār hai zindagī
ishtihārāt kī bhiiḌ meñ chāñdnī
apnī pāzeb kī jhunjhunāhaT pe roī huī raushnī
ek ik lafz-e-be-rang kī paikariyat chhuāne pe māmūr hai
aks jitne bhī nang-e-basīrat haiñ sab
saaf karke dikhāne pe majbūr hai
kyoñ duhā.ī na duuñ a shikast-e-nazar
āsmāñ lafz hai aur kuchh bhī nahīñ
lafz ḳhud ik alāmat hai tafhīm kī
sharm-gāheñ chhupāne kī adnā sī shai ke sivā
aur kyā naam duuñ aql ko
āgahī ḳhud-farebī ḳharābe kī jaḌ
jis kī buniyād mafrūza hai aur kuchh bhī nahīñ
aur jab muddatoñ kī ulaT-pher ke baa'd bhī
chāñdnī kuchh nahīñ
raushnī kuchh nahīñ
āgahī kuchh nahīñ
aag hī aag hai ḳhuun hī ḳhuun hai
paiñtare meñ yahī
sab yahī daañv haiñ
dhuup hai chhāñv hai
surḳh manDī
harā tel
piilī khanak
zindagī zindagī zindagī
kuchh nahīñ kuchh nahīñ
tiin safhoñ kā aḳhbār hai zindagī
surKH manDi
hara tel
pili khanak
tin safhon ka aKHbar hai zindagi
ishtihaaraat ki bhiD mein chandni
apni pazeb ki jhunjhunahaT pe roi hui raushni
ek ek lafz-e-be-rang ki paikariyat chhuane pe mamur hai
aks jitne bhi nang-e-basirat hain sab
saf karke dikhane pe majbur hai
kyon duhai na dun a shikast-e-nazar
aasman lafz hai aur kuchh bhi nahin
lafz KHud ek alamat hai tafhim ki
sharm-gahen chhupane ki adna si shai ke siwa
aur kya nam dun aql ko
aagahi KHud-farebi KHarabe ki jaD
jis ki buniyaad mafruza hai aur kuchh bhi nahin
aur jab muddaton ki ulaT-pher ke ba'd bhi
chandni kuchh nahin
raushni kuchh nahin
aagahi kuchh nahin
aag hi aag hai KHun hi KHun hai
paintare mein yahi
sab yahi danw hain
dhup hai chhanw hai
surKH manDi
hara tel
pili khanak
zindagi zindagi zindagi
kuchh nahin kuchh nahin
tin safhon ka aKHbar hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.