rumuz-e-auqaf ki nazm
kahāñ par lafz likh kar fāsla denā
kahāñ comma lagānā hai
kahāñ qausain meñ likhnā
kahāñ pairā banānā hai
kahāñ ehsās ko likhnā hai bas us ke alif jitnā
kahāñ ehsās
kahāñ ehsās ko puurā dikhānā hai
tarīqa hī nahīñ aatā
tumheñ to nazm likhne kā salīqa hī nahīñ aatā
kahan par lafz likh kar fasla dena
kahan comma lagana hai
kahan qausain mein likhna
kahan paira banana hai
kahan ehsas ko likhna hai bas us ke alif jitna
kahan ehsas
kahan ehsas ko pura dikhana hai
tariqa hi nahin aata
tumhein to nazm likhne ka saliqa hi nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.