rustagari
zaḳhm phir hare hue
phir lahū taḌap taḌap uThā
andhe rāstoñ pe be-takān uḌaan ke liye
band aañkh kī bahisht meñ
sab darīche sab kivāḌ khul ga.e
aur phir
apnī ḳhalq kī huī basīt kā.enāt meñ
dhund ban ke phailtā simaTtā jā rahā huuñ maiñ
ḳhudā-e-lam-yazal ke saañs kī tarah
mere aage aage ik hujūm hai
jis ko jo bhī naam de diyā vo ho gayā
mere vāste se sab ke silsile
bañdhe hue haiñ sab kī maut zindagī
mere vāste se hai
zamīn o āsmāñ ke biich
jis ko bhī panāh na mil sake
vo aa.e mere saath saath
muntazir hai aaj bhī
fazā jo lafz lafz par muhīt hai
amiiq aur basīt hai
mujhe bhī aaj tak na mil sakā
tamāsha-gāh-e-roz-o-shab kā biij
apne taur par
na.e sire se jis ko bo sakūñ
kahāñ ke silsile
kaise vāste
ragoñ meñ sirf is qadar lahū bachā hai
pañkh pañkh meñ
kuchh havā sameT kar
āḳhirī uḌaan bhar sakūñ
be-muhāba soch
āñdhiyoñ sī soch meñ
sarf ho rahā huuñ maiñ
har thapeḌā mire naqsh chaaT chaaT kar
dhund ban rahā hai
dhund gahrī ho rahī hai
guzarte vaqt se maiñ juḌ rahā huuñ
juḌ gayā huuñ
apnā kaam kar chukā huuñ
zaKHm phir hare hue
phir lahu taDap taDap uTha
andhe raston pe be-takan uDan ke liye
band aankh ki bahisht mein
sab dariche sab kiwaD khul gae
aur phir
apni KHalq ki hui basit kaenat mein
dhund ban ke phailta simaTta ja raha hun main
KHuda-e-lam-yazal ke sans ki tarah
mere aage aage ek hujum hai
jis ko jo bhi nam de diya wo ho gaya
mere waste se sab ke silsile
bandhe hue hain sab ki maut zindagi
mere waste se hai
zamin o aasman ke bich
jis ko bhi panah na mil sake
wo aae mere sath sath
muntazir hai aaj bhi
faza jo lafz lafz par muhit hai
amiq aur basit hai
mujhe bhi aaj tak na mil saka
tamasha-gah-e-roz-o-shab ka bij
apne taur par
nae sire se jis ko bo sakun
kahan ke silsile
kaise waste
ragon mein sirf is qadar lahu bacha hai
pankh pankh mein
kuchh hawa sameT kar
aaKHiri uDan bhar sakun
be-muhaba soch
aandhiyon si soch mein
sarf ho raha hun main
har thapeDa mere naqsh chaT chaT kar
dhund ban raha hai
dhund gahri ho rahi hai
guzarte waqt se main juD raha hun
juD gaya hun
apna kaam kar chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.