Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is basti ke ek kuche mein

Ibn e Insha

is basti ke ek kuche mein

Ibn e Insha

is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam dīvānā

ik naar pe jaan ko haar gayā mash.hūr hai us afsānā

us naar meñ aisā ruup na thā jis ruup se din dhuup dabe

is shahr meñ kyā kyā gorī hai mahtāb-ruḳhe gulnār-labe

kuchh baat thī us bātoñ meñ kuchh bhed the us chitvan meñ

vahī bhed ki jot jagāte haiñ kisī chāhne vaale ke man meñ

use apnā banāne dhun meñ huā aap aap se begāna

is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam dīvānā

chanchal khel javānī ke pyaar alhaḌ ghāteñ thiiñ

bas raah meñ un milnā thā phone pe un bāteñ thiiñ

is ishq pe ham bhī hañste the be-hāsil be-hāsil thā

ik zor bipharte sāgar meñ kashtī thī sāhil thā

jo baat thī in ke meñ thī jo bhed thā yaksar an-jānā

is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam dīvānā

ik roz magar barkhā-rut meñ vo bhādoñ thī sāvan thā

dīvār pe biich samundar ke ye dekhne vāloñ ne dekhā

mastāna haath meñ haath diye ye ek kagar par baiThe the

yuuñ shaam huī phir raat huī jab sailānī ghar lauT ga.e

kyā raat thī vo chāhtā hai us raat pe likkheñ afsānā

is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam dīvānā

haañ umr saath nibhāne ke the ahd bahut paimān bahut

vo jin pe bharosa karne meñ kuchh suud nahīñ nuqsān bahut

vo naar ye kah kar duur huī 'majbūrī sājan majbūrī'

ye vahshat se ranjūr hue aur rañjūrī rañjūrī?

us roz hameñ ma.alūm huā us shaḳhs mushkil samjhānā

is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam dīvānā

go aag se chhātī jaltī thī go aañkh se dariyā bahtā thā

har ek se dukh nahīñ kahtā thā chup rahtā thā ġham sahtā thā

nādān haiñ vo jo chheḌte haiñ is aalam meñ nā-dānoñ ko

us shaḳhs se ek javāb milā sab apnoñ ko begānoñ ko

'kuchh aur kaho to suntā huuñ is baab meñ kuchh mat farmānā'

is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam dīvānā

ab aage tahqīq nahīñ go sunñe ko ham sunte the

us naar jo jo bāteñ thiiñ us naar ke jo jo qisse the

ik shaam jo us ko bulvāyā kuchh samjhāyā bechāre ne

us raat ye qissa paak kiyā kuchh khā liyā dukhyāre ne

kyā baat huī kis taur huī aḳhbār se logoñ ne jaanā

is bastī ke ik kūche meñ ik inshā naam dīvānā

har baat khoj to Thiik nahīñ tum ham ko kahānī kahne do

us naar naam maqām hai kyā is baat pe pardā rahne do

ham se bhī to saudā mumkin hai tum se bhī jafā ho saktī hai

ye apnā bayāñ ho saktā hai ye apnī kathā ho ho saktī hai

vo naar bhī āḳhir pachhtā.ī kis kaam aisā pachhtānā?

is bastī ke ik kūche meñ ik 'inshā' naam dīvānā

is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana

ek nar pe jaan ko haar gaya mashhur hai us ka afsana

us nar mein aisa rup na tha jis rup se din ki dhup dabe

is shahr mein kya kya gori hai mahtab-ruKHe gulnar-labe

kuchh baat thi us ki baaton mein kuchh bhed the us ki chitwan mein

wahi bhed ki jot jagate hain kisi chahne wale ke man mein

use apna banane ki dhun mein hua aap hi aap se begana

is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana

na chanchal khel jawani ke na pyar ki alhaD ghaten thin

bas rah mein un ka milna tha ya phone pe un ki baaten thin

is ishq pe hum bhi hanste the be-hasil sa be-hasil tha

ek zor bipharte sagar mein na kashti thi na sahil tha

jo baat thi in ke ji mein thi jo bhed tha yaksar an-jaana

is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana

ek roz magar barkha-rut mein wo bhadon thi ya sawan tha

diwar pe bich samundar ke ye dekhne walon ne dekha

mastana hath mein hath diye ye ek kagar par baiThe the

yun sham hui phir raat hui jab sailani ghar lauT gae

kya raat thi wo ji chahta hai us raat pe likkhen afsana

is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana

han umr ka sath nibhane ke the ahd bahut paiman bahut

wo jin pe bharosa karne mein kuchh sud nahin nuqsan bahut

wo nar ye kah kar dur hui 'majburi sajan majburi'

ye wahshat se ranjur hue aur ranjuri si ranjuri?

us roz hamein malum hua us shaKHs ka mushkil samjhana

is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana

go aag se chhati jalti thi go aankh se dariya bahta tha

har ek se dukh nahin kahta tha chup rahta tha gham sahta tha

nadan hain wo jo chheDte hain is aalam mein na-danon ko

us shaKHs se ek jawab mila sab apnon ko beganon ko

'kuchh aur kaho to sunta hun is bab mein kuchh mat farmana'

is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana

ab aage ka tahqiq nahin go sunne ko hum sunte the

us nar ki jo jo baaten thin us nar ke jo jo qisse the

ek sham jo us ko bulwaya kuchh samjhaya bechaare ne

us raat ye qissa pak kiya kuchh kha hi liya dukhyare ne

kya baat hui kis taur hui aKHbar se logon ne jaana

is basti ke ek kuche mein ek insha nam ka diwana

har baat ki khoj to Thik nahin tum hum ko kahani kahne do

us nar ka nam maqam hai kya is baat pe parda rahne do

hum se bhi to sauda mumkin hai tum se bhi jafa ho sakti hai

ye apna bayan ho sakta hai ye apni katha ho ho sakti hai

wo nar bhi aaKHir pachhtai kis kaam ka aisa pachhtana?

is basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ibn e Insha

Ibn e Insha

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now