rut badli re
mausam bāheñ khol rahā hai
gadrā.ī hai shaam basantī
din chupke se dekh rahā hai
lamhoñ kā ik thaal sunahrā
dil ne kaise thaam rakhā hai
āñchal meñ hai ek sitāra
jhilmil jhilmil bol rahā hai
dhak dhak dhak dhak ek hī bolī
dil kā piñjra khol rahī hai
bechainī kā raqs anokhā
ik ik sar kī taal ajab hai
ḳhushbū kī bhī aañch ġhazab hai
saarā āñgan dahak rahā hai
nazm sab kuchh nahīñ likh saktī
sar nehvḌā.e
chabātī rahtī hai nāḳhun
kharoñchtī rahtī hai dil
bhīgī huī hathelī se
masal detī hai saare manzar
havā ḳhaak bhar detī hai
nazm kī āñkhoñ meñ
patthar kī sil
kuchal detī hai nazm kī poreñ
aur nazm katbe nahīñ likh saktī
mausam bahen khol raha hai
gadrai hai sham basanti
din chupke se dekh raha hai
lamhon ka ek thaal sunahra
dil ne kaise tham rakha hai
aanchal mein hai ek sitara
jhilmil jhilmil bol raha hai
dhak dhak dhak dhak ek hi boli
dil ka pinjra khol rahi hai
bechaini ka raqs anokha
ek ek sar ki tal ajab hai
KHushbu ki bhi aanch ghazab hai
sara aangan dahak raha hai
nazm sab kuchh nahin likh sakti
sar nehwDae
chabaati rahti hai naKHun
kharonchti rahti hai dil
bhigi hui hatheli se
masal deti hai sare manzar
hawa KHak bhar deti hai
nazm ki aankhon mein
patthar ki sil
kuchal deti hai nazm ki poren
aur nazm katbe nahin likh sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.