rut
dil kā sāmān uThāo
jaan ko nīlām karo
aur chalo
dard kā chāñd sar-e-shām nikal aa.egā
kyā mudāvā hai
chalo dard piyo
chāñd ko paimāna banāo
rut kī ā.ankhoñ se Tapakne lage kaale aañsū
rut se kah do
ki vo phir aa.e
chalo
is gul-andām kī chāhat meñ bhī kyā kyā na huā
dard paidā huā darmāñ koī paidā na huā
dil ka saman uThao
jaan ko nilam karo
aur chalo
dard ka chand sar-e-sham nikal aaega
kya mudawa hai
chalo dard piyo
chand ko paimana banao
rut ki aaankhon se Tapakne lage kale aansu
rut se kah do
ki wo phir aae
chalo
is gul-andam ki chahat mein bhi kya kya na hua
dard paida hua darman koi paida na hua
- Bisat-e-Raqs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.