ru-ba-ru jaanan
hameñ ab tak tirī kuchh bhī na kahne vaalī āñkhoñ se ye shikva hai
jo kamsin ḳhvāb in āñkhoñ meñ manzar kāḌhte the
vo kabhī tere laboñ ke phuul bante aur hamāre
dāman-e-iz.hār meñ khilte
hameñ in muskurāte chup laboñ se bhī shikāyat hai
hamāre sher sun kar khilkhilāte the magar kuchh bhī na kahte the
na jaane aise lamhoñ meñ tirī sochoñ pe kyā kyā rañg aate the
tujhe ham se chhupāne ke
bhī to sab Dhañg aate the
hameñ terī mohabbat se bhī shikva hai
samundar jaisī gahrī thī
magar āñkhoñ ke chhāgal se chhalaktī thī jo ham aise
faqīroñ ke diloñ par is tarah barsī
ki hariyālī ne ghar aur dasht kī pahchān se
begāna kar ke rakh diyā
ham ko ye duniyā sirf tere husn kī tajsīm lagtī thī
so ham bhī aur hamāre ḳhvāb bhī āñkheñ bhī chehra bhī
sabhī kuchh terī ḳhātir thā
magar terī mohabbat ne
hameñ is chup chapne khel meñ jo dukh diye
ab tak unheñ terī sarāb āñkhoñ se
ā.īna misāl ik guftugū kī aarzū hai rū-ba-rū jānāñ
hamein ab tak teri kuchh bhi na kahne wali aankhon se ye shikwa hai
jo kamsin KHwab in aankhon mein manzar kaDhte the
wo kabhi tere labon ke phul bante aur hamare
daman-e-izhaar mein khilte
hamein in muskuraate chup labon se bhi shikayat hai
hamare sher sun kar khilkhilate the magar kuchh bhi na kahte the
na jaane aise lamhon mein teri sochon pe kya kya rang aate the
tujhe hum se chhupane ke
bhi to sab Dhang aate the
hamein teri mohabbat se bhi shikwa hai
samundar jaisi gahri thi
magar aankhon ke chhagal se chhalakti thi jo hum aise
faqiron ke dilon par is tarah barsi
ki hariyali ne ghar aur dasht ki pahchan se
begana kar ke rakh diya
hum ko ye duniya sirf tere husn ki tajsim lagti thi
so hum bhi aur hamare KHwab bhi aankhen bhi chehra bhi
sabhi kuchh teri KHatir tha
magar teri mohabbat ne
hamein is chup chapne khel mein jo dukh diye
ab tak unhen teri sarab aankhon se
aaina misal ek guftugu ki aarzu hai ru-ba-ru jaanan
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 482)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.