ruuh dekhī hai?
kabhī ruuh ko mahsūs kiyā hai?
jāgte jiite hue dūdhiyā kohre se lipaT kar
saañs lete hue us kohre ko mahsūs kiyā hai?
yā shikāre meñ kisī jhiil pe jab raat basar ho
aur paanī ke chhpākoñ meñ bajā kartī haiñ Tulliāñ
subkiyāñ letī havāoñ ke bhī bain sune haiñ?
chaudhvīñ-rāt ke barfāb se ik chāñd ko jab
Dher se saa.e pakaḌne ke liye bhāgte haiñ
tum ne sāhil pe khaḌe girje kī dīvār se lag kar
apnī gahnātī huī kokh ko mahsūs kiyā hai?
jism sau baar jale tab bhī vahī miTTī hai
ruuh ik baar jalegī to vo kundan hogī
ruuh dekhī hai, kabhī ruuh ko mahsūs kiyā hai?
ruh dekhi hai?
kabhi ruh ko mahsus kiya hai?
jagte jite hue dudhiya kohre se lipaT kar
sans lete hue us kohre ko mahsus kiya hai?
ya shikare mein kisi jhil pe jab raat basar ho
aur pani ke chhpakon mein baja karti hain Tullian
subkiyan leti hawaon ke bhi bain sune hain?
chaudhwin-raat ke barfab se ek chand ko jab
Dher se sae pakaDne ke liye bhagte hain
tum ne sahil pe khaDe girje ki diwar se lag kar
apni gahnati hui kokh ko mahsus kiya hai?
jism sau bar jale tab bhi wahi miTTi hai
ruh ek bar jalegi to wo kundan hogi
ruh dekhi hai, kabhi ruh ko mahsus kiya hai?
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 83)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.