ruh-e-iqbaal se
terī nazar meñ hai tamām rāz-e-hayāt qaum kā
tere nafas se murta.ish rāz-e-hayāt qaum kā
terī nazar kā nuur hai bazm-e-tajalliyāt meñ
jaan sī tū ne Daal dī paikar-e-kā.enāt meñ
dard hai mere dil meñ bhī tere dil-e-gudāz kā
naqsh hai nā-tamām abhī mastī-e-soz-o-sāz kā
rūh-e-hayāt-e-shā.erī tujh se hī kāmrāñ huī
merī hayāt nau-ba-nau rang se shādmāñ huī
sāz-e-azīmat-e-ḳhudī chheḌ salā-e-ām de
qaum-e-shikasta-hāl ko aa ke koī payām de
teri nazar mein hai tamam raaz-e-hayat qaum ka
tere nafas se murtaish raaz-e-hayat qaum ka
teri nazar ka nur hai bazm-e-tajalliyat mein
jaan si tu ne Dal di paikar-e-kaenat mein
dard hai mere dil mein bhi tere dil-e-gudaz ka
naqsh hai na-tamam abhi masti-e-soz-o-saz ka
ruh-e-hayat-e-shaeri tujh se hi kaamran hui
meri hayat nau-ba-nau rang se shadman hui
saz-e-azimat-e-KHudi chheD sala-e-am de
qaum-e-shikasta-haal ko aa ke koi payam de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.