Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh-e-taghazzul

MORE BYLala Anoop Chand Aaftab Panipati

    maiñ apne qalb meñ jab nūr-e-irfāñ dekh letā huuñ

    to har zarra meñ ik ḳhurshīd-e-tābāñ dekh letā huuñ

    miTā kar apnī hastī rāh-e-haq meñ khul ga.iiñ āñkheñ

    ki mar kar zindagī rāz-e-pinhāñ dekh letā huuñ

    haqīqī ishq jazba hai dil meñ jis barakat se

    hayāt aur maut ke asrār-e-uryāñ dekh letā huuñ

    kiye haiñ ishq aur ulfat ke saare marhale jab tai

    to duniyā bhar har mushkil ko āsāñ dekh letā huuñ

    chhupā saktā nahīñ ḳhud ko mujh se laakh pardoñ meñ

    tirī sūrat har ik shai meñ numāyāñ dekh letā huuñ

    kahānī kyā sunā.ūñ dil-jaloñ ġham ke māroñ

    ki uThtā chār-sū ik ġham tūfāñ dekh letā huuñ

    taḌap hai dard hai rañj-o-alam hai be-qarārī hai

    ye mulk aur qaum hāl-e-pareshāñ dekh letā huuñ

    isī pyāre vatan hindostāñ ġhair hālat hai

    ki jis par ġhair ko bhī aaj nāzāñ dekh letā huuñ

    nikaltī hai agar ik aah bhī mazlūm ke dil se

    zamīñ se arsh tak har shai ko larzāñ dekh letā huuñ

    ghaTā.eñ ġham sar par chhā ga.iiñ jo hind vāloñ ke

    dar-o-dīvār ko bhārat ke giryāñ dekh letā huuñ

    abhī hindostāñ ke din bhale aa.e nahīñ shāyad

    ki maiñ laḌte hue hindū musalmāñ dekh letā huuñ

    na kyuuñ ai 'āftāb' aa.e nazar ummīd sūrat

    ki jab taklīf meñ rāhat ke sāmāñ dekh letā huuñ

    main apne qalb mein jab nur-e-irfan dekh leta hun

    to har zarra mein ek KHurshid-e-taban dekh leta hun

    miTa kar apni hasti rah-e-haq mein khul gain aankhen

    ki mar kar zindagi ka raaz-e-pinhan dekh leta hun

    haqiqi ishq ka jazba hai dil mein jis ki barakat se

    hayat aur maut ke asrar-e-uryan dekh leta hun

    kiye hain ishq aur ulfat ke sare marhale jab tai

    to duniya bhar ki har mushkil ko aasan dekh leta hun

    chhupa sakta nahin tu KHud ko mujh se lakh pardon mein

    teri surat har ek shai mein numayan dekh leta hun

    kahani kya sunaun dil-jalon ki gham ke maron ki

    ki uThta chaar-su ek gham ka tufan dekh leta hun

    taDap hai dard hai ranj-o-alam hai be-qarari hai

    ye mulk aur qaum ka haal-e-pareshan dekh leta hun

    isi pyare watan hindostan ki ghair haalat hai

    ki jis par ghair ko bhi aaj nazan dekh leta hun

    nikalti hai agar ek aah bhi mazlum ke dil se

    zamin se arsh tak har shai ko larzan dekh leta hun

    ghaTaen gham ki sar par chha gain jo hind walon ke

    dar-o-diwar ko bhaarat ke giryan dekh leta hun

    abhi hindostan ke din bhale aae nahin shayad

    ki main laDte hue hindu musalman dekh leta hun

    na kyun ai 'aftab' aae nazar ummid ki surat

    ki jab taklif mein rahat ke saman dekh leta hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now