ruh labon tak aa kar soche
ruuh laboñ tak aa kar soche kaise chhoḌūñ qarya-e-jāñ
yūsuf qasr-e-shahī meñ bhī kab bhūlā kan.āñ kī galiyāñ
maut qarīb aa.ī to duniyā kitnī muqaddas lagtī hai
kāhish-e-dil bhī ḳhvāhish-e-dil hai āfat-e-jāñ bhī rāhat-e-jāñ
merī vahshat ko to bahut thī gosha-e-chashm-e-yār kī sair
yuuñ to adam meñ vus.at hogī arsh-ba-arsh karāñ-ba-karāñ
ġhunche ab tak rañg bhare haiñ ab tak hoñT umañg-bhare
TūTī-phūTī qabroñ se haiñ pathrā.ī āñkheñ nigarāñ
sirf ik nigah-e-garm se TūTeñ sho.aloñ meñ parvān chaḌheñ
haa.e ye nāzuk nāzuk rishte haa.e ye bazm-e-shīsh-garāñ
dasht-o-daman meñ koh kamar meñ bikhre hue haiñ phuul hī phuul
rū-e-nigār-e-gītī par haiñ sabt mire bosoñ ke nishāñ
aañkh kī ik jhapkī meñ biitā kitne baras kā qurb-e-jamāl
ishq ke ik pal meñ guzre haiñ kitne qaran kitnī sadiyāñ
saarī duniyā merā ka.aba sab insāñ mere mahbūb
dushman bhī do ek the lekin dushman bhī to the insāñ
dard-e-hayāt kahīñ ab jā kar banñe lagā thā husn-e-hayāt
kis ko ḳhabar thī mahv rahegī qat-e-safar meñ umr-e-ravāñ
jannat kī yaḳh-bastagyoñ ko garmā.egā us kā ḳhayāl
sub.h-e-abad tak jamī rahe ye anjuman-e-ātish-e-nafasāñ
ruh labon tak aa kar soche kaise chhoDun qarya-e-jaan
yusuf qasr-e-shahi mein bhi kab bhula kanan ki galiyan
maut qarib aai to duniya kitni muqaddas lagti hai
kahish-e-dil bhi KHwahish-e-dil hai aafat-e-jaan bhi rahat-e-jaan
meri wahshat ko to bahut thi gosha-e-chashm-e-yar ki sair
yun to adam mein wusat hogi arsh-ba-arsh karan-ba-karan
ghunche ab tak rang bhare hain ab tak honT umang-bhare
TuTi-phuTi qabron se hain pathrai aankhen nigaran
sirf ek nigah-e-garm se TuTen shoalon mein parwan chaDhen
hae ye nazuk nazuk rishte hae ye bazm-e-shish-garan
dasht-o-daman mein koh kamar mein bikhre hue hain phul hi phul
ru-e-nigar-e-giti par hain sabt mere boson ke nishan
aankh ki ek jhapki mein bita kitne baras ka qurb-e-jamal
ishq ke ek pal mein guzre hain kitne qaran kitni sadiyan
sari duniya mera kaba sab insan mere mahbub
dushman bhi do ek the lekin dushman bhi to the insan
dard-e-hayat kahin ab ja kar banne laga tha husn-e-hayat
kis ko KHabar thi mahw rahegi qat-e-safar mein umr-e-rawan
jannat ki yaKH-bastagyon ko garmaega us ka KHayal
subh-e-abad tak jami rahe ye anjuman-e-atish-e-nafasan
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.