ruThi hui nind aane se pahle
yuuñ aaj in āñkhoñ se ḳhafā niiñd huī hai
ham us ko manā.eñ bhī to kis tarh manā.eñ
ḳhāmosh sitāroñ meñ koī ḳhvāb sajā.eñ
yādoñ se kaheñ tum hī zarā palkoñ meñ aao
un hoñToñ ko zulfoñ ko nigāhoñ ko bulāo
us chehre kī shādābī-e-ḳhush-rang ko chūmeñ
us shoḳh kī har baat pe har lafz pe jhūmeñ
us jism ke har phuul ko āñkhoñ se lagā.eñ
kuchh pichhlī mulāqātoñ ko pahlū meñ biThā.eñ
guzre hue lamhāt kī tasvīr banā.eñ
tārīk fazāoñ meñ koī rang ubhāreñ
yuuñ lamha-ba-lamha ye shab-e-sabr guzāreñ
yā rone lageñ dard-o-ġham o fikr ke maare
nākām umangoñ se kahīñ aañsū bahā.eñ
majbūrī-e-ayyām ke sahrāoñ meñ bhaTkeñ
zaḳhmoñ ke samundar meñ koī naav chalā.eñ
siine ke har ik daaġh ko kāñToñ se TaToleñ
kuchh shikve lab-e-ġham pe bulā laa.eñ kahīñ se
ehsās ke chehre pe yūñhī Dāleñ ḳharāsheñ
aahoñ se kabhī ashkoñ se lamhoñ ko sañvāreñ
yuuñ lamha-ba-lamha ye shab-e-sabr guzāreñ
yun aaj in aankhon se KHafa nind hui hai
hum us ko manaen bhi to kis tarh manaen
KHamosh sitaron mein koi KHwab sajaen
yaadon se kahen tum hi zara palkon mein aao
un honTon ko zulfon ko nigahon ko bulao
us chehre ki shadabi-e-KHush-rang ko chumen
us shoKH ki har baat pe har lafz pe jhumen
us jism ke har phul ko aankhon se lagaen
kuchh pichhli mulaqaton ko pahlu mein biThaen
guzre hue lamhat ki taswir banaen
tarik fazaon mein koi rang ubhaaren
yun lamha-ba-lamha ye shab-e-sabr guzaren
ya rone lagen dard-o-gham o fikr ke mare
nakaam umangon se kahin aansu bahaen
majburi-e-ayyam ke sahraon mein bhaTken
zaKHmon ke samundar mein koi naw chalaen
sine ke har ek dagh ko kanTon se TaTolen
kuchh shikwe lab-e-gham pe bula laen kahin se
ehsas ke chehre pe yunhi Dalen KHarashen
aahon se kabhi ashkon se lamhon ko sanwaren
yun lamha-ba-lamha ye shab-e-sabr guzaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.