sadem
Interesting Fact
On Munni Saadiya's 6th birthday
zindagī 'sa.adiya' ke saath khile
dam-ba-dam yam-ba-yam hayāt khile
mahv ho jaa.e sab gumān-e-nafī
us ke chehre pe jab sabāt khile
lams se us ke nanhe hāthoñ ke
ġhuncha-e-inkishāf-e-zāt khile
siip hoñToñ meñ motiyoñ kī qatār
jab khile gauhar-e-sifāt khile
muskurā.e to rau meñ aa.e hayāt
khilkhilā de to kā.enāt khile
us kī shaffāf niiñd mīThe ḳhvāb
ghar meñ tāroñ bharī sī raat khile
sub.h jab aañkh meñ kiran jaage
duur tak sabza-e-hayāt khile
vo javāñ ho to shā.erī nikhre
ik ġhazal 'sa.adiya' ke saath khile
zindagi 'sadiya' ke sath khile
dam-ba-dam yam-ba-yam hayat khile
mahw ho jae sab guman-e-nafi
us ke chehre pe jab sabaat khile
lams se us ke nanhe hathon ke
ghuncha-e-inkishaf-e-zat khile
sip honTon mein motiyon ki qatar
jab khile gauhar-e-sifat khile
muskurae to rau mein aae hayat
khilkhila de to kaenat khile
us ki shaffaf nind miThe KHwab
ghar mein taron bhari si raat khile
subh jab aankh mein kiran jage
dur tak sabza-e-hayat khile
wo jawan ho to shaeri nikhre
ek ghazal 'sadiya' ke sath khile
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 175)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.