sae ki KHamoshi
saa.e kī ḳhāmoshī sirf zamīn sahtī hai
khokhlā peḌ nahīñ yā khokhlī hañsī nahīñ
aur phir anjān apnī an-jānī hañsī meñ hañsā
qahqahe kā patthar sañg-rezo meñ taqsīm ho gayā
saa.e kī ḳhāmoshī
aur phuul nahīñ sahte
tum
samundar ko lahroñ meñ tartīb mat do
ki tum ḳhud apnī tartīb nahīñ jānte
tum
zamīn pe chalnā kyā jaano
ki but ke dil meñ tumheñ dhḌaknā nahīñ aatā
sae ki KHamoshi sirf zamin sahti hai
khokhla peD nahin ya khokhli hansi nahin
aur phir anjaan apni an-jaani hansi mein hansa
qahqahe ka patthar sang-rezo mein taqsim ho gaya
sae ki KHamoshi
aur phul nahin sahte
tum
samundar ko lahron mein tartib mat do
ki tum KHud apni tartib nahin jaante
tum
zamin pe chalna kya jaano
ki but ke dil mein tumhein dhDakna nahin aata
- Book : Aankhen(rekhta website) (Pg. 184)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.