sae ki pisli se nikla hai jism tera
saa.e kī pislī se niklā hai jism tirā
bosoñ kā gīlā-pan lafzoñ ke hoñToñ par
āvāzeñ chaltī haiñ hāthoñ meñ haath liye
kāñToñ ne lamhoñ ke ḳhvāboñ ko noch liyā
hāthoñ meñ talvāreñ le kar vo aa.e the
aa.e the kaaT ga.e ma.anī ke naak aur kaan
TuuTā hai ḳhuun kahīñ Duubā hai aks kahīñ
sahrā kī chhātī par sūraj kā raqs kahīñ
saa.e kī pislī se niklā hai jism tirā
sae ki pisli se nikla hai jism tera
boson ka gila-pan lafzon ke honTon par
aawazen chalti hain hathon mein hath liye
kanTon ne lamhon ke KHwabon ko noch liya
hathon mein talwaren le kar wo aae the
aae the kaT gae mani ke nak aur kan
TuTa hai KHun kahin Duba hai aks kahin
sahra ki chhati par suraj ka raqs kahin
sae ki pisli se nikla hai jism tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.