sae
kisī saa.e kā naqsh gahrā nahīñ hai
har ik saaya ik aañkh hai
jis meñ ishrat-kadoñ nā-rasā ḳhvāhishoñ
an-kahī dil-nashīñ dāstānoñ kā melā lagā hai
magar aañkh kā sehr palkoñ kī chilman kī halkī sī jumbish hai
aur kuchh nahīñ hai
kisī aañkh kā sehr daa.im nahīñ hai
har ik saaya
chaltī havā kā pur-asrār jhoñkā hai
jo duur kī baat se
dil ko bechain kar ke chalā jā.egā
har koī jāntā hai
havāoñ kī bāteñ kabhī der tak rahne vaalī nahīñ haiñ
kisī aañkh kā sehr daa.im nahīñ hai
kisī saa.e kā naqsh gahrā nahīñ hai
kisi sae ka naqsh gahra nahin hai
har ek saya ek aankh hai
jis mein ishrat-kadon na-rasa KHwahishon
an-kahi dil-nashin dastanon ka mela laga hai
magar aankh ka sehr palkon ki chilman ki halki si jumbish hai
aur kuchh nahin hai
kisi aankh ka sehr daim nahin hai
har ek saya
chalti hawa ka pur-asrar jhonka hai
jo dur ki baat se
dil ko bechain kar ke chala jaega
har koi jaanta hai
hawaon ki baaten kabhi der tak rahne wali nahin hain
kisi aankh ka sehr daim nahin hai
kisi sae ka naqsh gahra nahin hai
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 163)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.