udaas shahr kī galiyoñ meñ raqs karte haiñ
balā.eñ lete haiñ āvāra-gard ḳhvāboñ kī
duā.eñ dete haiñ bichhḌe huoñ ko milne kī
sañvārte haiñ ḳham-e-gaisu-e-tamannā ko
pukārte haiñ kisī ajnabī masīhā ko
sameT letā hai jab chāñd apnī kirnoñ ko
to din ke gahre samundar meñ Duub jaate haiñ
yūñhī hamesha tulūa o ġhurūb hote haiñ
udas shahr ki galiyon mein raqs karte hain
balaen lete hain aawara-gard KHwabon ki
duaen dete hain bichhDe huon ko milne ki
sanwarte hain KHam-e-gaisu-e-tamanna ko
pukarte hain kisi ajnabi masiha ko
sameT leta hai jab chand apni kirnon ko
to din ke gahre samundar mein Dub jate hain
yunhi hamesha tulua o ghurub hote hain
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.