saeban
maiñ ḳhizāñ meñ giraftār huuñ
dekho ḳhvābīda maujoñ ḳharīdār rūhoñ
umaDte simaTte zamānoñ se
arz-o-samā kī siyāhī kā dāman nichoḌā hai
lekin havāoñ ke vahm-o-gumāñ meñ nahīñ
kaun sī ḳhaak se
qatra-e-āb tābinda-motī kī āġhosh letā hai
ḳhvāhish se bāhar na aa.uuñ mirī ibtidā intihā
aaj samundar kī silvaT meñ tābindagī hai
samundar ko pighlā
batā mere siine meñ kis kis kī āvāz hai
khet meñ bāġhbāñ mar chukā hai
zamīñ ḳhūñ-chakāñ hai
sitāre nahīñ haiñ faqat sā.ebāñ hai
main KHizan mein giraftar hun
dekho KHwabida maujon KHaridar ruhon
umaDte simaTte zamanon se
arz-o-sama ki siyahi ka daman nichoDa hai
lekin hawaon ke wahm-o-guman mein nahin
kaun si KHak se
qatra-e-ab tabinda-moti ki aaghosh leta hai
KHwahish se bahar na aaun meri ibtida intiha
aaj samundar ki silwaT mein tabindagi hai
samundar ko pighla
bata mere sine mein kis kis ki aawaz hai
khet mein baghban mar chuka hai
zamin KHun-chakan hai
sitare nahin hain faqat saeban hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 97)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.