saf laDki
vaah ye laḌkī hai kitnī paak saaf
saaf kapḌe saaf chehra naak saaf
mail dāñtoñ par na nāḳhun meñ kahīñ
aur kapḌoñ par kahīñ dhabba nahīñ
saaf suthre dhoyā motī haath paañv
chāhtā hai dil kaleje se lagā.ūñ
aao baby aao jaldī paas aao
ik maze kā pyaar ham ko de ke jaao
aate hī pahle kiyā us ne salām
phir jo pūchhā to batāyā apnā naam
god meñ le kar kiyā pahle to pyaar
phir kahā beTī maiñ tum par se nisār
aap kyā paḌhtī haiñ kyā kartī haiñ kaam
aap ke vālid kā hai kis jā maqām
bholī laḌkī ne diyā ham ko javāb
dūsrī urdu kī paḌhtī huuñ kitāb
first reader pahlī dīniyāt kī
aur kalām-ul-lāh saarā paḌh chukī
hifz hai kashf-ul-ḳhulāsa sab mujhe
yaad hai har sher kā matlab mujhe
saaf suthrī hai merī har ek chiiz
mujh ko ammāñ ne sikhā.ī ye tamīz
saaf bistar saaf kamra saaf ghar
maiñ ne pūchhā baat us kī kaaT kar
haath muñh kab dhotī ho us ne kahā
fajr-o-zohar asr-o-maġhrib aur ishā
pāñch vaqtoñ kī maiñ paḌhtī huuñ namāz
juutī ko lagtā nahīñ bol-o-barāz
chauthe din nahā kar badaltī huuñ libās
chhāvāñ sābun kañghī hai sab mere paas
daañt mere saaf bhī haiñ paak bhī
mere haañ manjan bhī hai misvāk bhī
aa.ī paḌhne ko aligarh saal haal
umr ke guzre haiñ mere aaTh saal
is se bhī kam thā bahut jab merā sin
saaf rakkhī jaatī thī maiñ raat din
mere vālid haiñ ġhulām panjatan
merā ghar hai Hyderabad dakan
sun ke us pākīza laḌkī ke javāb
maiñ nai diiñ kaifī duā.eñ be-hisāb
wah ye laDki hai kitni pak saf
saf kapDe saf chehra nak saf
mail danton par na naKHun mein kahin
aur kapDon par kahin dhabba nahin
saf suthre dhoya moti hath panw
chahta hai dil kaleje se lagaun
aao baby aao jaldi pas aao
ek maze ka pyar hum ko de ke jao
aate hi pahle kiya us ne salam
phir jo puchha to bataya apna nam
god mein le kar kiya pahle to pyar
phir kaha beTi main tum par se nisar
aap kya paDhti hain kya karti hain kaam
aap ke walid ka hai kis ja maqam
bholi laDki ne diya hum ko jawab
dusri urdu ki paDhti hun kitab
first reader pahli diniyat ki
aur kalam-ul-lah sara paDh chuki
hifz hai kashf-ul-KHulasa sab mujhe
yaad hai har sher ka matlab mujhe
saf suthri hai meri har ek chiz
mujh ko amman ne sikhai ye tamiz
saf bistar saf kamra saf ghar
main ne puchha baat us ki kaT kar
hath munh kab dhoti ho us ne kaha
fajr-o-zohar asr-o-maghrib aur isha
panch waqton ki main paDhti hun namaz
juti ko lagta nahin bol-o-baraaz
chauthe din naha kar badalti hun libas
chhawan sabun kanghi hai sab mere pas
dant mere saf bhi hain pak bhi
mere han manjan bhi hai miswak bhi
aai paDhne ko aligarh sal haal
umr ke guzre hain mere aaTh sal
is se bhi kam tha bahut jab mera sin
saf rakkhi jati thi main raat din
mere walid hain ghulam panjatan
mera ghar hai Hyderabad dakan
sun ke us pakiza laDki ke jawab
main nai din kaifi duaen be-hisab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.