sagar manthan
ye merī muskān faqat merī hī nahīñ hai
ye sab kī hai
is duniyā kī saarī kaḌvī kaḌvī bāteñ
saare dukh
saarī kaḌvāhaT
jīvan kī zahrīlī dukh bharī kahānī
ḳhud kahtā
ḳhud hī suntā huuñ
ḳhushiyāñ sab kī dukh mere haiñ
har har yug meñ
janm liyā hai
maiñ har yug meñ paidā hūñgā
amrit dūñgā zahr piyūñgā
maiñ is yug kā shīv-shankar huuñ
ye meri muskan faqat meri hi nahin hai
ye sab ki hai
is duniya ki sari kaDwi kaDwi baaten
sare dukh
sari kaDwahaT
jiwan ki zahrili dukh bhari kahani
KHud kahta
KHud hi sunta hun
KHushiyan sab ki dukh mere hain
har har yug mein
janm liya hai
main har yug mein paida hunga
amrit dunga zahr piyunga
main is yug ka shiw-shankar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.