sal-e-nau hamara ho
aao haath uThā.eñ ham
ham ki rangīñ ġhunche haiñ
gulshan-e-tamanna ke
ham ki shoḳh naġhme haiñ
aarzū kī viinā ke
aao ham duā māñgeñ
is andherī duniyā ko
raushnī kī daulat de
jin diloñ meñ nafrat hai
un meñ tū mohabbat de
ai ḳhudā.e ḳhushk-o-tar
tū hameñ masarrat de
hai namūna dozaḳh kā
jin baḌoñ se ye duniyā
un baḌoñ ke dil meñ de
dard ek ik insāñ kā
jazba-e-mohabbat ko
aam kar de ai maulā
phuul chāñdnī naġhma
har kisī kā hissa ho
ho hañsī har ik lab par
dard-o-ġham fasāna ho
sāl-e-nau hamārā ho
sāl-e-nau hamārā ho
aao hath uThaen hum
hum ki rangin ghunche hain
gulshan-e-tamanna ke
hum ki shoKH naghme hain
aarzu ki wina ke
aao hum dua mangen
is andheri duniya ko
raushni ki daulat de
jin dilon mein nafrat hai
un mein tu mohabbat de
ai KHudae KHushk-o-tar
tu hamein masarrat de
hai namuna dozaKH ka
jin baDon se ye duniya
un baDon ke dil mein de
dard ek ek insan ka
jazba-e-mohabbat ko
aam kar de ai maula
phul chandni naghma
har kisi ka hissa ho
ho hansi har ek lab par
dard-o-gham fasana ho
sal-e-nau hamara ho
sal-e-nau hamara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.