sal-e-nau
mubārak ho tujhe nau-roz kā ye din sahar jis kī
gale milne ko tujh se khol kar āġhosh aa.ī hai
mubārak ho naved-e-shādmānī muzhda-e-rāhat
sadā ishrat-fazā jis kī tire tā-gosh aa.ī hai
mubārak ho tabassum zer-e-lab tujh ko azīzoñ kā
adab se jin ke hoñToñ tak hañsī rū-posh aa.ī hai
magar in sab se baḌh kar tujh ko sāl-e-nau mubārak ho
masarrat ban ke jis kī sā.at-e-pur-josh aa.ī hai
mubarak ho tujhe nau-roz ka ye din sahar jis ki
gale milne ko tujh se khol kar aaghosh aai hai
mubarak ho nawed-e-shadmani muzhda-e-rahat
sada ishrat-faza jis ki tere ta-gosh aai hai
mubarak ho tabassum zer-e-lab tujh ko azizon ka
adab se jin ke honTon tak hansi ru-posh aai hai
magar in sab se baDh kar tujh ko sal-e-nau mubarak ho
masarrat ban ke jis ki saat-e-pur-josh aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.