yaad nahīñ kiyā
bhare-pure bāzār se jab maiñ
ḳhālī ḳhālī lauT aayā thā
aur ik phuul
tere chamakte haath pe rakh kar
maiñ ne kahā thā
terī pasand ke rang kā kapḌā
mil na sake to
mere coat kī
jeb meñ rakhe
note kī
qīmat gir jaatī hai
yaad nahin kiya
bhare-pure bazar se jab main
KHali KHali lauT aaya tha
aur ek phul
tere chamakte hath pe rakh kar
main ne kaha tha
teri pasand ke rang ka kapDa
mil na sake to
mere coat ki
jeb mein rakhe
note ki
qimat gir jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.