sal ki aaKHiri shab
saal kī āḳhirī shab
mere kamre meñ kitāboñ kā hujūm
pichhlī rātoñ ko tarāshe hue kuchh maah o nujūm
maiñ akelā mire atrāf uluum
ek tasvīr pe bante hue mere ḳhad-o-ḳhāl
in pe jamtī huī gard-e-mah-o-sāl
ik hayūlā sā pas-e-shahr-e-ġhubār
aur mujhe jakḌe hue ḳhud mirī bāhoñ ke hisār
koī rauzan hai na dar
so ga.e ahl-e-ḳhabar
saal kī āḳhirī shab
na kisī hijr kā sadma na kisī vasl kā ḳhvāb
ḳham hone ko hai bas āḳhirī lamhe kā shabāb
aur ufuq paar dhuñdlakoñ se kaheñ
khulne vaalā hai na.ī sub.h kā baab
is na.ī sub.h ko kyā nazr karūñ
har taraf phailā huā tez havāoñ kā fusūñ
aur maiñ sochtā huuñ
dar-o-dīvār meñ lipTe hue sahme hue log
galī-kūchoñ meñ nikalte hue ghabrāte hue
maiñ unheñ kaise batā.ūñ ki yahī mausam hai
jab parindoñ ke par-o-bāl nikal aate haiñ
sal ki aaKHiri shab
mere kamre mein kitabon ka hujum
pichhli raaton ko tarashe hue kuchh mah o nujum
main akela mere atraf ulum
ek taswir pe bante hue mere KHad-o-KHal
in pe jamti hui gard-e-mah-o-sal
ek hayula sa pas-e-shahr-e-ghubar
aur mujhe jakDe hue KHud meri bahon ke hisar
koi rauzan hai na dar
so gae ahl-e-KHabar
sal ki aaKHiri shab
na kisi hijr ka sadma na kisi wasl ka KHwab
KHam hone ko hai bas aaKHiri lamhe ka shabab
aur ufuq par dhundlakon se kahen
khulne wala hai nai subh ka bab
is nai subh ko kya nazr karun
har taraf phaila hua tez hawaon ka fusun
aur main sochta hun
dar-o-diwar mein lipTe hue sahme hue log
gali-kuchon mein nikalte hue ghabraate hue
main unhen kaise bataun ki yahi mausam hai
jab parindon ke par-o-baal nikal aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.