salgirah
dam-e-umr-e-ravāñ kā dā.era
ruktā hai ik lamhe pe shāyad har baras
vo merī paidā.ish kī saa.at hai
tumhārī yā hamāre nanhe bachchoñ kī
hamāre rishta-e-indrāj meñ
yā sho.ala-e-gul se
munavvar ġhair-rasmī ajnabī vābastagī kī
jo rag-o-pai meñ musalsal ho ga.ī
maiñ roktā huuñ bevafā lamhe ko
paiham sīñchtā huuñ ḳhuun se is ko
darīda uñgliyoñ se
kaaT kar us ko khilātā huuñ maiñ dil kā ḳhosha-e-nāzuk
magar ye tā.ir-e-rānā
pareshāñ fāsloñ ke nuur kā rasiyā
zamīnoñ āsmānoñ aur ḳhalāoñ
se bhī shāyad māvarā hai
muḳhtasar se jashn par hañstā huā
har sarhad-e-imkāñ se merī tīrgī se
duur jaatā hai
falak kī raushnī kī
vādiyoñ meñ
muntazir hai
koī an-jānā anokhā ḳhūbsūrat ajnabī us kā
dam-e-umr-e-rawan ka daera
rukta hai ek lamhe pe shayad har baras
wo meri paidaish ki saat hai
tumhaari ya hamare nanhe bachchon ki
hamare rishta-e-indraj mein
ya shoala-e-gul se
munawwar ghair-rasmi ajnabi wabastagi ki
jo rag-o-pai mein musalsal ho gai
main rokta hun bewafa lamhe ko
paiham sinchta hun KHun se is ko
darida ungliyon se
kaT kar us ko khilata hun main dil ka KHosha-e-nazuk
magar ye tair-e-rana
pareshan faslon ke nur ka rasiya
zaminon aasmanon aur KHalaon
se bhi shayad mawara hai
muKHtasar se jashn par hansta hua
har sarhad-e-imkan se meri tirgi se
dur jata hai
falak ki raushni ki
wadiyon mein
muntazir hai
koi an-jaana anokha KHubsurat ajnabi us ka
- Book : Lambi Barish (Pg. 137)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.