sanjh bhai pardes
be-kivāḌ darvāze
raah dekhte hoñge
taaq be-charāġhoñ ke
ik kiran ujāle kī
bhiik māñgte hoñge
kyoñ jhijak ga.e raahī
kyoñ ThiThuk ga.e raahī
DhūñDne kise jaao
intizār kis kā ho
rāste meñ kuchh sāthī
rah badal bhī jaate haiñ
phir kabhī na milne ko
kuchh bichhaḌ bhī jaate haiñ
qāfila kabhī Thahrā
qāfila kahāñ Thahrā
raah kyoñ kare khoTī
kis kā aasrā dekhe
chand kāñch ke TukḌe
ik bilor kī golī
nanhe munne hāthoñ kā
jin pe lams baaqī hai
zād-e-rāh kaafī hai
ḳhushk ho chuke gajre
kis gale meñ Dālogī
bhūlī bhaTkī ḳhushbūo
kis kī raah rokogī
kis ne ashk poñchhe haiñ
kis ne haath thāmā hai
apnā rāsta naapo
be-kivāḌ darvāze
raah dekhte hoñge
kal na.ī sahar hogī
laaj se bharī kaliyāñ
kal bhī muskurā.eñgī
kal koī na.ī gorī
adh-khilī na.ī kaliyāñ
haar meñ piro.egī
be-kiwaD darwaze
rah dekhte honge
taq be-charaghon ke
ek kiran ujale ki
bhik mangte honge
kyon jhijak gae rahi
kyon ThiThuk gae rahi
DhunDne kise jao
intizar kis ka ho
raste mein kuchh sathi
rah badal bhi jate hain
phir kabhi na milne ko
kuchh bichhaD bhi jate hain
qafila kabhi Thahra
qafila kahan Thahra
rah kyon kare khoTi
kis ka aasra dekhe
chand kanch ke TukDe
ek bilor ki goli
nanhe munne hathon ka
jin pe lams baqi hai
zad-e-rah kafi hai
KHushk ho chuke gajre
kis gale mein Dalogi
bhuli bhaTki KHushbuo
kis ki rah rokogi
kis ne ashk ponchhe hain
kis ne hath thama hai
apna rasta napo
be-kiwaD darwaze
rah dekhte honge
kal nai sahar hogi
laj se bhari kaliyan
kal bhi muskuraengi
kal koi nai gori
adh-khili nai kaliyan
haar mein piroegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.