hamāre dard sāñjhe haiñ
ki ham ukhḌe hue do peḌ
girte jā rahe haiñ lamha lamha ab
hamāre rog sāñjhe haiñ
ki ham andhe samay meñ apnī rūheñ hī gañvā baiThe
hamāre jog sāñjhe haiñ
ki ham apne badan meñ khojte haiñ
ḳhud ko har saa.at
hamāre dard sāñjhe haiñ
hamāre rog sāñjhe haiñ
hamārā hijr sāñjhā hai
hamārā vasl sāñjhā hai
hamare dard sanjhe hain
ki hum ukhDe hue do peD
girte ja rahe hain lamha lamha ab
hamare rog sanjhe hain
ki hum andhe samay mein apni ruhen hi ganwa baiThe
hamare jog sanjhe hain
ki hum apne badan mein khojte hain
KHud ko har saat
hamare dard sanjhe hain
hamare rog sanjhe hain
hamara hijr sanjha hai
hamara wasl sanjha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.