sanp
saañp lapeTe ghuum rahā huuñ
duniyā mujh se ḳhauf-zada hai
sab mujh ko achchhe lagte haiñ
lekin yuuñ hai
jis laḌkī ko chāhā maiñ ne
jis laḌke ko dost banāyā
jis ghar meñ maañ baap banā.e
jis masjid meñ ghuTne Teke
sab ne merā saañp hī dekhā
mujh ko koī dekh na paayā
maiñ sab ko kaise samjhā.ūñ
ye duniyā kā saañp nahīñ hai
mere saath palā posā hai
ye merā maañ jaayā
bas mujh ko Dastā hai
sanp lapeTe ghum raha hun
duniya mujh se KHauf-zada hai
sab mujh ko achchhe lagte hain
lekin yun hai
jis laDki ko chaha main ne
jis laDke ko dost banaya
jis ghar mein man bap banae
jis masjid mein ghuTne Teke
sab ne mera sanp hi dekha
mujh ko koi dekh na paya
main sab ko kaise samjhaun
ye duniya ka sanp nahin hai
mere sath pala posa hai
ye mera man jaya
bas mujh ko Dasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.