sanp
ye saañp aaj jo phan uThā.e
mire rāste meñ khaḌā hai
paḌā thā qadam chāñd par merā jis din
usī din ise maar Daalā thā maiñ ne
ukhāḌe the sab daañt kuchlā thā sar bhī
maroḌī thī dum toḌ dī thī kamar bhī
magar chāñd se jhuk ke dekhā jo maiñ ne
to dum is kī hilne lagī thī
ye kuchh reñgne bhī lagā thā
ye kuchh reñgtā kuchh ghisaTtā huā
purāne shivāle kī jānib chalā
jahāñ duudh is ko pilāyā gayā
paḌhe panditoñ ne ka.ī mantar aise
ye kam-baḳht phir se jilāyā gayā
shivāle se niklā vo phunkārtā
rag-e-arz par Dañk sā mārtā
baḌhā maiñ ki ik baar phir sar kuchal duuñ
ise bhārī qadmoñ se apne masal duuñ
qarīb ek vīrān masjid thii, masjid meñ
ye jā chhupā
jahāñ is ko petrol se ġhusl de kar
hasīn ek ta.avīz gardan meñ Daalā gayā
huā jitnā sadiyoñ meñ insāñ buland
ye kuchh us se ūñchā uchhālā gayā
uchhal ke ye girjā kī dahlīz par jā girā
jahāñ is ko sone kī kechul pahnā.ī ga.ī
salīb ek chāñdī kī siine pe us ke sajā.ī ga.ī
diyā jis ne duniyā ko paiġhām-e-amn
usī ke hayāt-āfrīñ naam par
use jañg-bāzī sikhā.ī ga.ī
bamoñ kā gulū-band gardan meñ Daalā
aur is dhaj se maidāñ meñ us ko nikālā
paḌā us kā dhartī pe saaya
to dhartī kī raftār rukne lagī
añdherā añdherā zamīñ se
falak tak añdherā
jabīñ chāñd tāroñ kī jhukne lagī
huī jab se science zar kī mutī.a
jo thā alam kā e'tibār uTh gayā
aur is saañp ko zindagī mil ga.ī
ise ham ne zahhāk ke bhārī kāñdhe pe dekhā thā ik din
ye hindū nahīñ hai musalmāñ nahīñ
ye donoñ kā maġhz aur ḳhuuñ chāTtā hai
bane jab ye hindū musalmān insāñ
usī din ye kam-baḳht mar jā.egā
ye sanp aaj jo phan uThae
mere raste mein khaDa hai
paDa tha qadam chand par mera jis din
usi din ise mar Dala tha main ne
ukhaDe the sab dant kuchla tha sar bhi
maroDi thi dum toD di thi kamar bhi
magar chand se jhuk ke dekha jo main ne
to dum is ki hilne lagi thi
ye kuchh rengne bhi laga tha
ye kuchh rengta kuchh ghisaTta hua
purane shiwale ki jaanib chala
jahan dudh is ko pilaya gaya
paDhe panditon ne kai mantar aise
ye kam-baKHt phir se jilaya gaya
shiwale se nikla wo phunkarta
rag-e-arz par Dank sa marta
baDha main ki ek bar phir sar kuchal dun
ise bhaari qadmon se apne masal dun
qarib ek viran masjid thi, masjid mein
ye ja chhupa
jahan is ko petrol se ghusl de kar
hasin ek tawiz gardan mein Dala gaya
hua jitna sadiyon mein insan buland
ye kuchh us se uncha uchhaala gaya
uchhal ke ye girja ki dahliz par ja gira
jahan is ko sone ki kechul pahnai gai
salib ek chandi ki sine pe us ke sajai gai
diya jis ne duniya ko paigham-e-amn
usi ke hayat-afrin nam par
use jang-bazi sikhai gai
bamon ka gulu-band gardan mein Dala
aur is dhaj se maidan mein us ko nikala
paDa us ka dharti pe saya
to dharti ki raftar rukne lagi
andhera andhera zamin se
falak tak andhera
jabin chand taron ki jhukne lagi
hui jab se science zar ki mutia
jo tha alam ka e'tibar uTh gaya
aur is sanp ko zindagi mil gai
ise hum ne zahhak ke bhaari kandhe pe dekha tha ek din
ye hindu nahin hai musalman nahin
ye donon ka maghz aur KHun chaTta hai
bane jab ye hindu musalman insan
usi din ye kam-baKHt mar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.