sanp sapera aur main
ek saperā merī galī meñ aa niklā kal shaam
us kī āñkheñ chamkīlī thiiñ aur āñkheñ sañgīn
lekin ras meñ bhīge naġhme chheḌ rahī thī biin
naġhme jin meñ jaag rahe the duniyā ke ālām
us ke gale meñ saañp paḌā thā jaise koī haar
us ne gale se saañp utārā aur kahā ki jhuum
miTTī chaaT ke pyaar se bābū-jī ke paañv chuum
saañp ne mujh ko jhuum ke chūmnā chāhā jo ik baar
maiñ ghabrā ke pīchhe haTā aur maiñ ne kahā nādān!
saañp ki patthar toḌ ke rakh de jis kā zahrī vaar
saañp ko kaun sikhā saktā hai insānoñ se pyaar
is ko nekī aur badī kī kyā hogī pahchān
hañs ke saperā bolā baabū mujh se ho ga.ī bhuul
tum jo ik duuje ke gale par rakhte ho talvār
tum shahroñ ke baasī kyā samjhoge kyā hai pyaar
mere liye ye saañp haiñ mere sundar ban ke phuul
māthe par ye kanThā dekho jaise koī taaj
ye raaja haiñ par nahīñ piite kamzoroñ kā ḳhuun
ye nahīñ mārte ik duuje ke ḳhemoñ par shab-ḳhūn
ye nahīñ lūTte apnī maaoñ aur bahnoñ kī laaj
ye nahīñ Dasne vaale in par Daal ke dekho haath
ḳhush-qismat ho aur tumhāre achchhe haiñ hālāt
tum insān-gazīda ho kar samjhoge ye baat
insānoñ kā saath burā hai yā sāñpoñ kā saath
ek sapera meri gali mein aa nikla kal sham
us ki aankhen chamkili thin aur aankhen sangin
lekin ras mein bhige naghme chheD rahi thi bin
naghme jin mein jag rahe the duniya ke aalam
us ke gale mein sanp paDa tha jaise koi haar
us ne gale se sanp utara aur kaha ki jhum
miTTi chaT ke pyar se babu-ji ke panw chum
sanp ne mujh ko jhum ke chumna chaha jo ek bar
main ghabra ke pichhe haTa aur main ne kaha nadan!
sanp ki patthar toD ke rakh de jis ka zahri war
sanp ko kaun sikha sakta hai insanon se pyar
is ko neki aur badi ki kya hogi pahchan
hans ke sapera bola babu mujh se ho gai bhul
tum jo ek duje ke gale par rakhte ho talwar
tum shahron ke basi kya samjhoge kya hai pyar
mere liye ye sanp hain mere sundar ban ke phul
mathe par ye kanTha dekho jaise koi taj
ye raja hain par nahin pite kamzoron ka KHun
ye nahin marte ek duje ke KHemon par shab-KHun
ye nahin luTte apni maon aur bahnon ki laj
ye nahin Dasne wale in par Dal ke dekho hath
KHush-qismat ho aur tumhaare achchhe hain haalat
tum insan-gazida ho kar samjhoge ye baat
insanon ka sath bura hai ya sanpon ka sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.