sanp siDhi
vo saañp sīḌhī kā khel thā jo
ham ahd-e-tiflī meñ khelte the
agarche sāñpoñ se ghir bhī jaate
jo koī un meñ se Das bhī letā
to vāpas apnī jagah pe jaate
vo zahr hotā thā utnā halkā
ki mar na paate
phir apnī jidd-o-jahd kī ḳhātir
ham uTh ke qismat ko āzmāte
aur aisā hotā bhī thā ki aksar
hameñ vo sīḌhī milī hai jis se
bulandiyoñ par pahuñch ga.e haiñ
magar na jaane ki saañp sīḌhī kā
ab ye kaisā hai khel niklā
ki chaar samtoñ meñ saañp haiñ bas
jo apne phan ko uThā.e uupar
har ek lamha Darā rahe haiñ
kahīñ bhī sīḌhī nahīñ hai koī
wo sanp siDhi ka khel tha jo
hum ahd-e-tifli mein khelte the
agarche sanpon se ghir bhi jate
jo koi un mein se Das bhi leta
to wapas apni jagah pe jate
wo zahr hota tha utna halka
ki mar na pate
phir apni jidd-o-jahd ki KHatir
hum uTh ke qismat ko aazmate
aur aisa hota bhi tha ki aksar
hamein wo siDhi mili hai jis se
bulandiyon par pahunch gae hain
magar na jaane ki sanp siDhi ka
ab ye kaisa hai khel nikla
ki chaar samton mein sanp hain bas
jo apne phan ko uThae upar
har ek lamha Dara rahe hain
kahin bhi siDhi nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.