sanwli
kitne alfāz haiñ
jo mirī uñgliyoñ ke har ik por meñ
ik samundar kī mānind band haiñ
samundar bahut hī ġhussailā samundar
samundar vo jo muntazir hai
ki kab tere hoñToñ ke donoñ sire
muskurāhaT kī koshish meñ khichne lageñ
aur ruḳhsār meñ pech-o-ḳham Daal deñ
ek shā.ir jo āñkheñ masalne lage
to hañse
aur samundar
ubalne lage
kitne alfaz hain
jo meri ungliyon ke har ek por mein
ek samundar ki manind band hain
samundar bahut hi ghussaila samundar
samundar wo jo muntazir hai
ki kab tere honTon ke donon sire
muskurahaT ki koshish mein khichne lagen
aur ruKHsar mein pech-o-KHam Dal den
ek shair jo aankhen masalne lage
to hanse
aur samundar
ubalne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.