sanwli rangat
tum āḳhir is qadar kyuuñ ro rahī ho
bad-shugūnī mat karo
ye to duā.eñ māñgne kā vaqt hai
shāyad vo
''hāñ'' kah deñ
chalo uTTho
ye apne saare aañsū
zaat kī takrīm kī bāteñ
ye apnā āgahī kā falsafa
sab zabt ke sar-posh se Dhāñko
nazar nīchī rahe
be-chārgī kī shaal
māthe tak ghasīTo
or
apne kāñpte hāthoñ se
apnī zaat kā ye ḳhvān
un ke sāmne chun do
ḳhudā rakkhe baḌe tājir haiñ
gahrī hai nazar un kī
tumhārī sāñvlī rañgat
aur us par hosh kī bāteñ
mujhe to haul aatā hai
kahīñ vo
''nā''
na kah deñ
tum aaKHir is qadar kyun ro rahi ho
bad-shuguni mat karo
ye to duaen mangne ka waqt hai
shayad wo
han kah den
chalo uTTho
ye apne sare aansu
zat ki takrim ki baaten
ye apna aagahi ka falsafa
sab zabt ke sar-posh se Dhanko
nazar nichi rahe
be-chaargi ki shaal
mathe tak ghasiTo
or
apne kanpte hathon se
apni zat ka ye KHwan
un ke samne chun do
KHuda rakkhe baDe tajir hain
gahri hai nazar un ki
tumhaari sanwli rangat
aur us par hosh ki baaten
mujhe to haul aata hai
kahin wo
na
na kah den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.