saqi
batā.ūñ kyā jo rang-e-gardish-e-ayyām hai saaqī
jahāñ kā zarra-zarra kushta-e-ālām hai saaqī
ma.āz-allāh ab har har qadam par daam hai saaqī
gulistāñ meñ ye āzādī kā faiz-e-ām hai saaqī
samajh saktā hai kaun is raaz ko juz ahl-e-mai-ḳhāna
libās-e-sub.h meñ kitnī bhayānak shaam hai saaqī
qafas kaisā nasheman kyā ye sab kahne kī bāteñ haiñ
na jab ārām thā saaqī na ab ārām hai saaqī
ajam be-bahra-e-īmāñ arab be-bahra-e-dānish
ba-īñ-āġhāz donoñ kā burā anjām hai saaqī
sitam ye hai koī shīsha-garoñ ko kuchh nahīñ kahtā
mirī ḳhārā-shigāfī morid-e-ilzām hai saaqī
hijābāt-e-tasavvur meñ abhī hai millat-e-ādam
abhī insāñ shikār-e-la.anat-e-aqvām hai saaqī
abhī mardūd-e-dargāh-e-ḳhirad hai tābish-e-īmāñ
abhī maqbūl-e-ālam zulmat-e-auhām hai saaqī
abhī pyāsoñ ne paa.ī hī nahīñ hai rāh-e-mai-ḳhāna
ḳhirad kī koshish-e-paiham abhī nākām hai saaqī
ulajh kar rah ga.e haiñ mudda.iyān-e-rubūbiyyat
ḳhayāl-e-ḳhām bil-āḳhir ḳhayāl-e-ḳhām hai saaqī
charāġh-e-rāh ban kar rahbarī kī jis sahīfe ne
vo juzdānoñ ke shīshe meñ charāġh-e-bām hai saaqī
tirā ye rind-e-sar-gashta jise 'fārūq' kahte haiñ
isī tanqīd ke chalte bahut badnām hai saaqī
ḳhat-e-paimāna arq-e-mauj-e-sahbā hotā jaatā hai
ijāzat ho ki ab aage ḳhudā kā naam hai saaqī
bataun kya jo rang-e-gardish-e-ayyam hai saqi
jahan ka zarra-zarra kushta-e-alam hai saqi
maaz-allah ab har har qadam par dam hai saqi
gulistan mein ye aazadi ka faiz-e-am hai saqi
samajh sakta hai kaun is raaz ko juz ahl-e-mai-KHana
libas-e-subh mein kitni bhayanak sham hai saqi
qafas kaisa nasheman kya ye sab kahne ki baaten hain
na jab aaram tha saqi na ab aaram hai saqi
ajam be-bahra-e-iman arab be-bahra-e-danish
ba-in-aghaz donon ka bura anjam hai saqi
sitam ye hai koi shisha-garon ko kuchh nahin kahta
meri KHara-shigafi morid-e-ilzam hai saqi
hijabaat-e-tasawwur mein abhi hai millat-e-adam
abhi insan shikar-e-lanat-e-aqwam hai saqi
abhi mardud-e-dargah-e-KHirad hai tabish-e-iman
abhi maqbul-e-alam zulmat-e-auham hai saqi
abhi pyason ne pai hi nahin hai rah-e-mai-KHana
KHirad ki koshish-e-paiham abhi nakaam hai saqi
ulajh kar rah gae hain muddaiyan-e-rububiyyat
KHayal-e-KHam bil-aKHir KHayal-e-KHam hai saqi
charagh-e-rah ban kar rahbari ki jis sahife ne
wo juzdanon ke shishe mein charagh-e-baam hai saqi
tera ye rind-e-sar-gashta jise 'faruq' kahte hain
isi tanqid ke chalte bahut badnam hai saqi
KHat-e-paimana arq-e-mauj-e-sahba hota jata hai
ijazat ho ki ab aage KHuda ka nam hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.