saqi nama
nahīñ ye ahd aur hai saaqī
ahl-e-europe kā daur hai saaqī
kī hai koshish unhoñ ne ḳhātir-ḳhvāh
paa.ī hai muddatoñ meñ hind kī raah
kar ke zahmat jo aa.e itnī duur
mahz tarvīj-e-bāda thī manzūr
jo musalmāñ haiñ ummat-e-añgrez
mai-kashī se unheñ nahīñ parhez
bāda-ḳhvārī kā shaġhl ghar ghar hai
aur taaḌī to shīr-e-mādar hai
pahle paasī chamār piite the
mardum-e-be-vaqār piite the
ab to ahl-e-ulūm piite haiñ
māhiyān-e-rusūm piite haiñ
nahin ye ahd aur hai saqi
ahl-e-europe ka daur hai saqi
ki hai koshish unhon ne KHatir-KHwah
pai hai muddaton mein hind ki rah
kar ke zahmat jo aae itni dur
mahz tarwij-e-baada thi manzur
jo musalman hain ummat-e-angrez
mai-kashi se unhen nahin parhez
baada-KHwari ka shaghl ghar ghar hai
aur taDi to shir-e-madar hai
pahle pasi chamar pite the
mardum-e-be-waqar pite the
ab to ahl-e-ulum pite hain
mahiyan-e-rusum pite hain
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 120)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.