sara shagufta
kabhī ḳhudā se mil kar
insān se milnā
ḳhudā kā makr hai insān!
mere to saare savāb
uñgliyoñ kī poroñ se jhaḌ ga.e
aur gunāh haiñ ki siine meñ dhaḌakte chale jaate haiñ
thoḌā sabr chakho!
lazzat pakī pakā.ī roTī nahīñ
jise chingīr meñ rakh kar tumheñ paros duuñ!
tum to sarmā ke lihāf meñ bhī ThanDe paḌ rahe ho
dāñtoñ ko pasīna to aane do
ki zabān badan kā namak churā sake
miTTī se pyaas nahīñ bujhī
mujhe abhī aur khodo
khodte raho ki paanī kā zā.iqa abhī
bahut pātāl meñ hai!
kabhi KHuda se mil kar
insan se milna
KHuda ka makr hai insan!
mere to sare sawab
ungliyon ki poron se jhaD gae
aur gunah hain ki sine mein dhaDakte chale jate hain
thoDa sabr chakho!
lazzat paki pakai roTi nahin
jise chingir mein rakh kar tumhein paros dun!
tum to sarma ke lihaf mein bhi ThanDe paD rahe ho
danton ko pasina to aane do
ki zaban badan ka namak chura sake
miTTi se pyas nahin bujhi
mujhe abhi aur khodo
khodte raho ki pani ka zaiqa abhi
bahut patal mein hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.