sathi
maiñ us ko paanā bhī chāhūñ
to ye mere liye nā-mumkin hai
vo aage aage tez-ḳhirām
maiñ us ke pīchhe pīchhe
uftāñ ḳhezāñ
āvāzeñ detā
shor machātā
kab se ravāñ huuñ
barg-e-ḳhizāñ huuñ
jab maiñ uktā kar ruk jā.ūñgā
vo bhī pal bhar ko Thahar kar
mujh se āñkheñ chaar karegā
phir apnī chāhat kā iqrār karegā
phir maiñ
muñh toḌ ke
tezī se ghar kī jānib lauTūñgā
apne naqsh-e-qadam rouñdūñgā
ab vo dil thaam ke
mere pīchhe lapaktā aa.egā
naddī naale
patthar parbat phāñd aa jā.egā
maiñ aage aage
vo pīchhe pīchhe
donoñ kī raftār hai ik jaisī
phir ye kaise ho saktā hai
vo mujh ko yā maiñ us ko pā luuñ
main us ko pana bhi chahun
to ye mere liye na-mumkin hai
wo aage aage tez-KHiram
main us ke pichhe pichhe
uftan KHezan
aawazen deta
shor machata
kab se rawan hun
barg-e-KHizan hun
jab main ukta kar ruk jaunga
wo bhi pal bhar ko Thahar kar
mujh se aankhen chaar karega
phir apni chahat ka iqrar karega
phir main
munh toD ke
tezi se ghar ki jaanib lauTunga
apne naqsh-e-qadam roundunga
ab wo dil tham ke
mere pichhe lapakta aaega
naddi nale
patthar parbat phand aa jaega
main aage aage
wo pichhe pichhe
donon ki raftar hai ek jaisi
phir ye kaise ho sakta hai
wo mujh ko ya main us ko pa lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.