sawan ke mahine
firdaus banā.e hue sāvan ke mahīne
ik gul-ruḳh o nasrīñ-badan o sarv-e-sahī ne
māthe pe idhar kākul-e-zholīda kī lahreñ
gardūñ pe udhar abr-e-ḳhirāmāñ ke safīne
meñh jitnā barastā thā sar-e-dāman-e-kohsār
itne hī zamīñ apnī ugaltī thī dafīne
allāh-re ye farmān ki is mast havā meñ
ham muñh se na boleñge agar pī na kisī ne
vo mūnis-o-ġham-ḳhvār thā jis ke liye barsoñ
māñgī thiiñ duā.eñ mire āġhosh-e-tahī ne
gul-rez the sāhil ke lachakte hue paude
gul-rañg the tālāb ke tarshe hue ziine
bārish thī lagātār to yuuñ gard thī mafqūd
jis tarah mai-e-nāb se dhul jaate haiñ siine
dam bhar ko bhī thamtī thiiñ agar sard havā.eñ
aate the javānī ko pasīne pe pasīne
bhar dī thī chaTānoñ meñ bhī ġhunchoñ kī sī narmī
ik fitna-e-kaunain kī nāzuk-badanī ne
getī se ubalte the tamannā ke salīqe
gardūñ se baraste the mohabbat ke qarīne
kyā dil kī tamannāoñ ko marbūt kiyā thā
sabze pe chamaktī huī sāvan kī jhaḌī ne
badlī thī falak par ki junūñ-ḳhez javānī
būñdeñ thiiñ zamīñ par ki añgūThī ke nagīne
shāḳhoñ pe parinde the jhaTakte hue shahpar
nahroñ meñ bateñ apne ubhāre hue siine
is fasl meñ is darja rahā be-ḳhud o sarshār
maiḳhāne se bāhar mujhe dekhā na kisī ne
kyā lamha-e-fānī thā ki muḌ kar bhī na dekhā
dī kitnī hī āvāz hayāt-e-abadī ne
firdaus banae hue sawan ke mahine
ek gul-ruKH o nasrin-badan o sarw-e-sahi ne
mathe pe idhar kakul-e-zholida ki lahren
gardun pe udhar abr-e-KHiraman ke safine
meinh jitna barasta tha sar-e-daman-e-kohsar
itne hi zamin apni ugalti thi dafine
allah-re ye farman ki is mast hawa mein
hum munh se na bolenge agar pi na kisi ne
wo munis-o-gham-KHwar tha jis ke liye barson
mangi thin duaen mere aaghosh-e-tahi ne
gul-rez the sahil ke lachakte hue paude
gul-rang the talab ke tarshe hue zine
barish thi lagatar to yun gard thi mafqud
jis tarah mai-e-nab se dhul jate hain sine
dam bhar ko bhi thamti thin agar sard hawaen
aate the jawani ko pasine pe pasine
bhar di thi chaTanon mein bhi ghunchon ki si narmi
ek fitna-e-kaunain ki nazuk-badani ne
geti se ubalte the tamanna ke saliqe
gardun se baraste the mohabbat ke qarine
kya dil ki tamannaon ko marbut kiya tha
sabze pe chamakti hui sawan ki jhaDi ne
badli thi falak par ki junun-KHez jawani
bunden thin zamin par ki anguThi ke nagine
shaKHon pe parinde the jhaTakte hue shahpar
nahron mein baten apne ubhaare hue sine
is fasl mein is darja raha be-KHud o sarshaar
maiKHane se bahar mujhe dekha na kisi ne
kya lamha-e-fani tha ki muD kar bhi na dekha
di kitni hi aawaz hayat-e-abadi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.