sawan ki rut aa pahunchi hai
sāvan kī rut aa pahuñchī hai
bhiig rahā hai
lamha lamha
soch shajar kī shāḳh pe shab bhar
chīḳheñge ġhunche armāñ ke
āñkhoñ ke parde par
kitne rang sajeñge
un rangoñ meñ
bhūlā-bisrā koī lamha
rangīñ lamha
dil meñ chubhegā
maazī kī mehrābeñ saarī gir jā.eñgī
sāvan kī rut aa pahuñchī hai
sawan ki rut aa pahunchi hai
bhig raha hai
lamha lamha
soch shajar ki shaKH pe shab bhar
chiKHenge ghunche arman ke
aankhon ke parde par
kitne rang sajenge
un rangon mein
bhula-bisra koi lamha
rangin lamha
dil mein chubhega
mazi ki mehraben sari gir jaengi
sawan ki rut aa pahunchi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.