saya-e-diwar
kaisā sunsān hai dasht-e-āvārgī
har taraf dhuup hai har taraf tishnagī
kaisī be-jān hai mai-kade kī fazā
jism kī sansanī ruuh kī ḳhastagī
is do-rāhe pe kho.e ga.e hausle
is añdhere meñ gum ho ga.ī zindagī
ai ġham-e-ārzū maiñ bahut thak gayā
mujh ko de de vahī merī apnī galī
chhoTā-moTā magar ḳhūb-sūrat sā ghar
ghar ke āñgan meñ ḳhushbū sī phailī huī
muñh dhulātī savere kī pahlī kiran
sā.ebāñ par amar-bel mahkī huī
khiḌkiyoñ par havāoñ kī aTkheliyāñ
rauzan-e-dar se chhantī huī raushnī
shaam ko halkā halkā uThtā dhuāñ
paas chūlhe ke baiThī huī lakshmī
ik añgīThī meñ ko.ele dahakte hue
bartanoñ kī suhānī madhur rāgnī
ras-bhare giit ma.asūm se qahqahe
raat ko chhat pe chhiTkī huī chāñdnī
sub.h ko apne schōl jaate hue
mere nanhe ke chehre pe ik tāzgī
rishte-nāte mulāqāteñ mehmāniyāñ
dāvateñ jashn tyauhār shādī ġhamī
jī meñ hai apnī āzādiyāñ bech kar
aaj le luuñ ye pābandiyoñ kī ḳhushī
kaisa sunsan hai dasht-e-awargi
har taraf dhup hai har taraf tishnagi
kaisi be-jaan hai mai-kade ki faza
jism ki sansani ruh ki KHastagi
is do-rahe pe khoe gae hausle
is andhere mein gum ho gai zindagi
ai gham-e-arzu main bahut thak gaya
mujh ko de de wahi meri apni gali
chhoTa-moTa magar KHub-surat sa ghar
ghar ke aangan mein KHushbu si phaili hui
munh dhulati sawere ki pahli kiran
saeban par amar-bel mahki hui
khiDkiyon par hawaon ki aTkheliyan
rauzan-e-dar se chhanti hui raushni
sham ko halka halka uThta dhuan
pas chulhe ke baiThi hui lakshmi
ek angiThi mein koele dahakte hue
bartanon ki suhani madhur ragni
ras-bhare git masum se qahqahe
raat ko chhat pe chhiTki hui chandni
subh ko apne school jate hue
mere nanhe ke chehre pe ek tazgi
rishte-nate mulaqaten mehmaniyan
dawaten jashn tyauhaar shadi ghami
ji mein hai apni aazadiyan bech kar
aaj le lun ye pabandiyon ki KHushi
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 151)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.